LoGo

Laptop Ko Voice Se Control Karo – Full Setup

Laptop Ko Voice Se Control Karo – Full Setup (Free Trick!)


So bhai, kuch din pehle main ek crazy trick try ki — apne laptop ko sirf awaaz se control karna!
Socha tha bas YouTube pe video dekha hoga, kaam nahi karega...
Lekin jab system ne “Open Chrome” sunte hi Chrome khola na, dil jeet liya usne 😅

Ab socha tum logo ke saath bhi share kar du. No coding, no paid software – bas thoda setting ka jugad hai.



Setup Kaise Karna Hai?


Sabse pehle, Windows ke andar hi ek feature hota hai – Speech Recognition.
Chhupa hua treasure hai literally.

Start me jaake search karo: Speech Recognition

Click karo aur chalu kar do.

Mic setup poochega – normal hi process hai.

Read More - Apne Phone Ko 2x Fast Kaise Banaye (Hidden Settings Trick)

Agle step me system tumhari awaaz se familiar hota hai.
Thoda time lagega, lekin baad me commands kaafi achhe se samajhne lagta hai.

Kaam Kaise Karega?

 

  • Ab jab bhi bolo:
  • “Open Chrome” – browser khulega
  • “Switch to Notepad” – notepad par aa jaoge
  • “Press Enter” – enter dabega
  • “Click File” – file menu open
  • “Shutdown” – (haan bhai, system band bhi ho jayega 😄)
  • Ekdum hacker wali feeling aa jaati hai 🔥

Bonus Trick 💡


Dictation mode bhi milta hai isme.
Notepad kholo, mic on karo aur bolo:
“Yeh blog main ne bina type kiye likha hai”
Aur vo likh lega! Sahi me.

Kyu Use Kare?


👉 Jab typing karne ka mood na ho
👉 Jab hands-free kaam karna ho
👉 Jab coding ya notes sirf bol ke likhwana ho
👉 Ya fir bas show off karna ho doston ke saamne 😎

Meri Opinion?

Bhai ek baar try to banta hai.
Aaj kal AI chalu hai, to awaaz se kaam karna normal ho raha hai.
Free me mil raha hai, to kyu na use karein?

Try karo aur bolo apne laptop se:
“Bhai, kal subah alarm laga de.”
(Ha ye thoda zyada ho gaya, wo Alexa karti hai 😅)

No comments

Powered by Blogger.