LoGo

Saste wale AirPods ya Airbuds Lena Chahte Ho? Features Pehle Check Kar Lo Bhai!

Saste wale AirPods ya Airbuds Lena Chahte Ho? Features Pehle Check Kar Lo Bhai!

bhai dekho, market me itne airpods (ya airbuds bol lo) aagaye hain na, ki confuse ho jaata hu kaunsa sahi hai. sab kehte hain "HD sound", "long battery", "touch control"... lekin asli mein kya hota hai wo to use karne ke baad hi pata chalta hai.

main yahan likh raha hu kuch real wale features jo tumhe dekhne chahiye, jab bhi saste wale airpods lene ka socho.


🔊 1. Sound Quality – bass bhari ho ya halki?

bhai har koi bolega “heavy bass” lekin jab sunoge to lagta hai dhoop me speaker baj raha hai. dekh lo ki earbuds me 13mm ya 14.2mm drivers hain kya. wohi ache sound dete hain – na zyada sharp, na zyada dull.


🔋 2. Battery backup – likha hota hai 24hrs, chalta 3 ghanta hai

ek baat samajh lo – agar earbuds saste hai, to battery 3–4 ghante se zyada nahi chalegi ek charge pe. aur case mila ke 10–12 hrs max. to agar koi 30 hrs likh raha hai, to thoda doubt lena sahi hai.


🧠 3. Smart Touch ya Dumb Touch?

dekh bhai, har touch control smart nahi hota. kuch me ek baar touch karo to kuch hota hi nahi, dusri baar me pause ho jaata hai.
to check kar lena ki:

  • single tap = pause/play

  • double tap = next

  • long press = assistant ya reject call

warna baith ke sirf thappad maarte rahoge earbuds ko 😅


🎙️ 4. Mic quality – calling ke liye lena hai ya sirf sunne?

kai log earbuds le lete hain sunne ke liye, lekin call pe awaaz jaati hi nahi. to agar tumhara kaam calling ka hai (office, client, gf 😄), to ENC (environment noise cancel) wala mic lo.


📱 5. Connectivity – bluetooth 5.0 ya koi purana version?

2025 chal raha hai bhai, agar koi abhi bhi Bluetooth 4.2 dera hai, to seedha ignore karo.
Bluetooth 5.1 ya 5.3 me connection fast milega, range acchi hogi, aur delay kam.


💧 6. Sweat/Water resistance – gym wale sun lo

kahi baar halka sa pasina bhi saste airpods ko khatam kar deta hai.
to dekh lena IPX4 ya IPX5 rating ho... warna gym se direct dustbin me jayenge.


🎁 Bonus: Look & Fit bhi matter karta hai

bhai saste wale airpods ache lagte hai photo me, lekin pehenke lagta hai kaan me kuch atak gaya hai.
Half in-ear (Apple style) ya in-ear with rubber tips (Samsung style) — jo bhi lena, pehle soch lo kya tumhare kaan me tikta hai.


Ant mein ek Seedhi baat:

"Naam airpods hai, kaam ka hai ya nahi – wo bas use karke hi pata chalta hai."

agar online le rahe ho to pehle return policy dekh lena, aur features pe dhyan dena – sirf brand naam mat dekh.

aur haan, agar koi ₹699 wale airpods me AirPods Pro jaisa experience expect kar rahe ho... to bhai thoda dhyan se sapne dekho 😄


agar tumhe aise aur real review-type post chahiye ho, to bata dena... next karenge neckband vs airpods pe!

No comments

Powered by Blogger.